pā.īñ  har  ek  rāh-guzar  par  udāsiyāñ
niklī  huī  haiñ  kab  se  safar  par  udāsiyāñ
ḳhvābīda  shahr  jāgne  vaalā  hai  lauT  aao
baiThī  huī  haiñ  shaam  se  ghar  par  udāsiyāñ
maiñ  ḳhauf  se  laraztā  rahā  paḌh  nahīñ  sakā
phailī  huī  thiiñ  ek  ḳhabar  par  udāsiyāñ
sūraj  ke  haath  sabz  qabāoñ  tak  aa  ga.e
ab  haiñ  yahāñ  har  ek  shajar  par  udāsiyāñ
apne  bhī  ḳhatt-o-ḳhāl  nigāhoñ  meñ  ab  nahīñ
is  tarah  chhā  ga.ī  haiñ  nazar  par  udāsiyāñ
phailā  rahā  hai  kaun  kabhī  sochtā  huuñ  maiñ
ḳhvāboñ  ke  ek  ek  nagar  par  udāsiyāñ
sab  log  ban  ga.e  haiñ  agar  ajnabī  to  kyā
chhoḌ  ā.eñgī  mujhe  mire  dar  par  udāsiyāñ