nazar  meñ  har  dushvārī  rakh
ḳhvāboñ  meñ  bedārī  rakh
duniyā  se  jhuk  kar  mat  mil
rishtoñ  meñ  hamvārī  rakh
soch  samajh  kar  bāteñ  kar
lafzoñ  meñ  tahdārī  rakh
fuTpāthoñ  par  chain  se  so
ghar  meñ  shab-bedārī  rakh
tū  bhī  sab  jaisā  ban  jā
biich  meñ  duniyā-dārī  rakh
ek  ḳhabar  hai  tere  liye
dil  par  patthar  bhārī  rakh
ḳhālī  haath  nikal  ghar  se
zād-e-safar  hushyārī  rakh
sher  sunā  aur  bhūkā  mar
is  ḳhidmat  ko  jaarī  rakh