zabāñ  hai  magar  be-zabānoñ  meñ  hai
nasīhat  koī  us  ke  kānoñ  meñ  hai
chalo  sāhiloñ  kī  taraf  ruḳh  kareñ
abhī  to  havā  bādbānoñ  meñ  hai
zamīñ  par  ho  apnī  hifāzat  karo
ḳhudā  to  miyāñ  āsmānoñ  meñ  hai
na  jaane  ye  ehsās  kyuuñ  hai  mujhe
vo  ab  tak  mire  pāsbānoñ  meñ  hai
sajā  to  liye  ham  ne  dīvār-o-dar
udāsī  abhī  tak  makānoñ  meñ  hai
havā  ruḳh  badaltī  rahe  bhī  to  kyā
parinda  to  apnī  uḌānoñ  meñ  hai