ḳhauf  ban  kar  ye  ḳhayāl  aatā  hai  aksar  mujh  ko
dasht  kar  jā.egā  ik  roz  samundar  mujh  ko
maiñ  sarāpā  huuñ  ḳhabar-nāma-e-imroz-e-jahāñ
kal  bhulā  de  na  ye  duniyā  kahīñ  paḌh  kar  mujh  ko
har  nafas  mujh  meñ  taġhayyur  kī  havā.e  larzāñ
murtasim  kar  na  sakā  koī  bhī  manzar  mujh  ko
apne  sāhil  pe  maiñ  ḳhud  tishna-dahan  baiThā  huuñ
dekh  dariyā  kī  tarā.ī  se  nikal  kar  mujh  ko
mire  saa.e  meñ  bhī  mujh  ko  nahīñ  rahne  degā
mere  hī  ghar  meñ  rakhegā  koī  be-ghar  mujh  ko
kārgar  koī  bhī  tadbīr  na  hone  degā
kyā  muqaddar  hai  ki  le  jā.egā  dar-dar  mujh  ko
kaam  aa.egī  na  bedār-nigāhī  bhī  'amīr'
ḳhvāb  kah  jā.egā  ik  din  mirā  paikar  mujh  ko