dard  kā  shahr  kahīñ  karb  kā  sahrā  hogā
log  vāqif  the  koī  ghar  se  na  niklā  hogā
vo  jo  ik  shaḳhs  ba-zid  hai  ki  bhulā  do  mujh  ko
bhuul  jā.ūñ  to  usī  shaḳhs  ko  sadma  hogā
aañkh  khulte  hī  bichhaḌ  jā.egā  har  manzar-e-shab
chāñd  phir  sub.h  ke  maqtal  meñ  akelā  hogā
jin  ujāloñ  kī  taraf  dauḌ  rahī  hai  duniyā
un  ujāloñ  meñ  qayāmat  kā  añdherā  hogā
ek  ummīd  har  ik  dar  pe  liye  jaatī  hai
ye  mirā  shahr  thā  koī  to  shanāsā  hogā