ġham  par  haiñ  ta.ana-zan  to  ḳhushī  bhī  nibhā.iye
sarkār  merī  bāda-kashī  bhī  nibhā.iye
motī  se  ashk  aap  ke  qadmoñ  ko  the  aziiz
sūkhe  hue  laboñ  kī  hañsī  bhī  nibhā.iye
pahle  to  mauj-e-gul  thī  mire  har  ḳhayāl  meñ
ab  fikr  kī  ye  sho.ala-ravī  bhī  nibhā.iye
ye  kyā  ki  aap  sirf  parastish  kareñ  qubūl
ma.abūd-e-shahr  merī  ḳhudī  bhī  nibhā.iye
be-shak  huzūr  sāqī-e-bazm-e-bahār  haiñ
lekin  ḳhud  apnī  tishna-labī  bhī  nibhā.iye
haañ  in  hasīn  ā.ankhoñ  meñ  raqsāñ  hai  zindagī
palkoñ  kī  ho  sake  to  namī  bhī  nibhā.iye
shahzād-gān-e-mumlikat-e-husn  ke  tufail
ham  shā.iroñ  kī  kaj-kulahī  bhī  nibhā.iye