nadī  ke  paar  ujālā  dikhā.ī  detā  hai
mujhe  ye  ḳhvāb  hamesha  dikhā.ī  detā  hai
baras  rahī  haiñ  aqīdat  kī  badliyāñ  lekin
shu.ūr  aaj  pyāsā  dikhā.ī  detā  hai
charāġh-e-manzil-e-fardā  jalā.egā  ik  roz
vo  rāhgīr  jo  tanhā  dikhā.ī  detā  hai
tirī  nigāh  ne  halkā  sā  naqsh  chhoḌā  thā
magar  ye  zaḳhm  to  gahrā  dikhā.ī  detā  hai
kisī  ḳhayāl  kī  mish.al  kisī  sadā  kā  charāġh
har  ek  samt  añdherā  dikhā.ī  detā  hai
'amīr'  pūchh  rahā  huuñ  ġham-e-zamāna  se
hamāre  ghar  meñ  tujhe  kyā  dikhā.ī  detā  hai