kahīñ  salīb  kahīñ  karbalā  nazar  aa.e
jidhar  nigāh  uThe  zaḳhm  sā  nazar  aa.e
bujhī  hai  pyaas  zamīñ  kī  to  ye  tapish  kyuuñ  hai
vo  abr  hai  to  barastā  huā  nazar  aa.e
bajā  hai  apnī  aqīdat  magar  savāl  ye  hai
vo  aadmī  ho  to  kyūñkar  ḳhudā  nazar  aa.e
chalo  ki  gher  leñ  us  ko  lahū  lahū  chehre
har  ek  samt  use  aa.ina  nazar  aa.e
hamīñ  ne  tan  se  judā  kar  liyā  hai  sar  apnā
bas  ek  ham  the  jo  sab  se  judā  nazar  aa.e
kahāñ  kahāñ  abhī  imkān-e-zindagī  hai  'amīr'
dhuāñ  chhaTe  to  koī  rāsta  nazar  aa.e