Nadeem Sirsivi

surur se aTe hue ai mausam-e-visal ruk

Nadeem Sirsivi

surūr se aTe hue ai mausam-e-visāl ruk

mile darīda-qalb ko sukūn-e-indimāl ruk

ai hairat-e-gulāb-ruḳh itnā lā-javāb hai

ki kah uThe savāl se hamāre lab savāl ruk

tujhe gila hai ab vo lazzateñ rahīñ na qurbateñ

maiñ Dāltā huuñ raqs-e-ishq meñ abhī dhamāl ruk

na raas aa.egā koī na dil ko bhā.egā koī

hamāre bin Dasegā tujh ko umr-bhar malāl ruk

paḌegā ran aziyyatoñ samt-e-shahr-e-hijr roz

udhar na Thahar zarā dekh merā haal ruk

maiñ tere hasb-e-idda.ā nahīñ huuñ vo jo thā kabhī

vo thā bhī lauT aa.egā ai mere ham-ḳhayāl ruk

ġhazal-tarāziyāñ mirī nigāh-e-nāz se tirī

ye kar rahī haiñ iltijā na mire ġhazāl ruk

havās kho chuke haiñ sab huā 'nadīm' jāñ-balab

ab na mere sāmne aa hāsil-e-jamāl ruk

Top Urdushayar.com