Nadeem Sirsivi

ek hum hi nahin taqdir ke mare sahab

Nadeem Sirsivi

ek ham nahīñ taqdīr ke maare sāhab

log haiñ baḳht-zada saare ke saare sāhab

merā neze pe sajā sar hai payām-e-ġhairat

koī neze se mirā sar na utāre sāhab

maiñ bhī bachpan meñ ḳhalāoñ safar kartā thā

khelā karte the mire saath sitāre sāhab

daf.atan ham ne sila paayā munājātoñ

daf.atan sāmne aa.e vo hamāre sāhab

jānvar meñ hayā insāñ se ziyāda dekhī

ulTe bahne lage tahzīb ke dhāre sāhab

mujh meñ duniyā rahī aur maiñ bhī rahā duniyā meñ

mujh ko ghere rahe har vaqt ḳhasāre sāhab

taaki dariyāoñ vahshat rahe haavī sab par

Duub jaatā huuñ maiñ dariyā ke kināre sāhab

istaqāmat galā ghoñT ke dam lete haiñ

kitne vahshī huā karte haiñ sahāre sāhab

shukriya aap ne bardāsht to kar ye ġhazal

aap bhī jā.iye ab ham bhī sidhāre sāhab

Top Urdushayar.com