darīche  hī  darīche  the  koī  bhī  dar  nahīñ  aayā
sadāoñ  kī  kamī  thī  kyā  jo  tū  bāhar  nahīñ  aayā
agar  hai  daulatoñ  meñ  dam  ḳharīdo  tum  mirā  saaya
maiñ  vo  baijū  jo  akbar  ke  bulāne  par  nahīñ  aayā
bahut  mīThā  sā  lagtā  hai  tirī  āñkhoñ  kā  paanī  kyoñ
tirī  āñkhoñ  ke  hisse  kyā  kabhī  sāgar  nahīñ  aayā
hazāroñ  log  bas  ye  jism  chhū  kar  lauT  jaate  haiñ
huā  arsa  koī  is  ruuh  ke  andar  nahīñ  aayā
hamāre  ġham  kā  paimāna  hai  ab  to  ausatan  itnā
kabhī  mausam  bahāroñ  kā  ziyāda-tar  nahīñ  aayā