har-chand  mirī  quvvat-e-guftār  hai  mahbūs
ḳhāmosh  magar  tab-e-ḳhud-ārā  nahīñ  hotī
māmūra-e-ehsās  meñ  hai  hashr  sā  barpā
insān  kī  tazlīl  gavārā  nahīñ  hotī
nālāñ  huuñ  maiñ  bedārī-e-ehsās  ke  hāthoñ
duniyā  mire  afkār  kī  duniyā  nahīñ  hotī
begāna-sifat  jāda-e-manzil  se  guzar  jā
har  chiiz  sazā-vār-e-nazāra  nahīñ  hotī
fitrat  kī  mashiyyat  bhī  baḌī  chiiz  hai  lekin
fitrat  kabhī  be-bas  kā  sahārā  nahīñ  hotī