Sahir Ludhianvi

milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
miltī hai zindagī meñ mohabbat kabhī kabhī
hotī hai dilbaroñ kī ināyat kabhī kabhī
sharmā ke muñh na pher nazar ke savāl par
laatī hai aise moḌ pe qismat kabhī kabhī
khulte nahīñ haiñ roz darīche bahār ke
aatī hai jān-e-man ye qayāmat kabhī kabhī
tanhā na kaT sakeñge javānī ke rāste
pesh aa.egī kisī kī zarūrat kabhī kabhī
phir kho na jaa.eñ ham kahīñ duniyā kī bhiiḌ meñ
miltī hai paas aane kī mohlat kabhī kabhī
Top Urdushayar.com