Iqra Afiya

ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti

Iqra Afiya

1994

ye kachche rañg haiñ gahre maiñ un ko dho nahīñ saktī

sabhī kuchh jāntī huuñ is liye bhī ro nahīñ saktī

abhī tak aañkh ke har zāviye meñ hijr ke ġham haiñ

tumhāre ḳhvāb aate haiñ magar meñ so nahīñ saktī

purāne peḌ Tahnī huuñ par sarsabz huuñ ab tak

parinde āte-jāte haiñ maiñ būḌhī ho nahīñ saktī

mujhe vo sher kahne haiñ ki jin meñ dil dhaḌakte hoñ

maiñ naqlī phuul āñgan meñ kabhī bhī bo nahīñ saktī

bahādur maiñ banūñ jitnī magar ye bhī hai sach 'iqrā'

ki ab maiñ mar to saktī huuñ pa tujh ko kho nahīñ saktī

Top Urdushayar.com