Zia Faruqi

tamasha-gah hai ya aalam-e-be-rang-o-bu kya hai

Zia Faruqi

1947

tamāshā-gāh hai ālam-e-be-rañg-o-bū kyā hai

maiñ kis se pūchhne jā.ūñ ki mere rū-ba-rū kyā hai

basārat kah rahī hai kuchh nahīñ is dasht-e-vahshat meñ

samā.at pūchhtī hai phir ye āḳhir hāv-hū kyā hai

ye kis āmad-o-shud se havā.eñ raqs kartī haiñ

ye kyuuñ mausam badalte haiñ miyān-e-rañg-o-bū kyā hai

dar-o-dīvār kyā kahte haiñ ghar kis ko bulātā hai

guzarte mausamoñ se bām-o-dar guftugū kyā hai

dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā mujhe us paar manzar

ye ik dīvār jaisī chashm-e-tar ke rū-ba-rū kyā hai

maiñ us ke sāmne ik ā.īna le ke rakh dūñgā

'ziyā' apnī zabāñ se kyuuñ kahūñ us se ki kyā hai

Top Urdushayar.com