Ravish Siddiqi

kaun kahta mujhe shaista-e-tahzib-e-junun

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971

kaun kahtā mujhe shā.ista-e-tahzīb-e-junūñ

maiñ tirī zulf-e-pareshāñ ko agar chheḌ na duuñ

kaun hasrat-zada-e-shauq-e-takallum hai yahāñ

laḌkhaḌātā hai tirī chashm-e-suḳhan-go fusūñ

ye hujūm-e-ġham-e-daurāñ meñ kahāñ yaad rahā

dāstān-e-ġham-e-dil tere taġhāful se kahūñ

kyā ḳhabar ḳhema-e-lailā ke nigahbānoñ ko

ki harīm-e-dil-e-lailā meñ hai mehmān-e-junūñ

rañg rah rah ke tire ruḳh uḌā jaatā hai

varna maiñ aur tirī mahfil-e-tamkīñ se uThūñ

qaid-e-hastī meñ ye ik gosha-e-dāmān-e-ḳhayāl

phir ġhanīmat hai ki zindāñ meñ bhī āzād to huuñ

ho salīqe se bahaknā to maza detā hai

mire saaqī ko gumāñ hai ki bahut hosh meñ huuñ

justujū koī manzil jo nahīñ hai to na ho

himmat-e-ishq ye kahtī hai ki baḌhtā rahūñ

ab tire haal pe tujh ko dil-e-nādāñ chhoḌā

sochnā bhī to qayāmat hai kahāñ tak sochūñ

maiñ ne pahchān liyā us ko sar-e-bazm 'ravish'

us āñkhoñ ko hai isrār ki ḳhāmosh rahūñ

Top Urdushayar.com