Zia Faruqi

na wo ghar raha na wo baam-o-dar na wo chilmanen na wo palki

Zia Faruqi

1947

na vo ghar rahā na vo bām-o-dar na vo chilmaneñ na vo pālkī

magar ab bhī merī zabāñ pe hai vahī dāstāñ sin-o-sāl

chalo bāl-o-par ko sameT leñ kareñ fikr ab kisī Daal

ye ġhurūb-e-mehr vaqt hai ye ghaḌī hai din ke zavāl

sabhī mausamoñ se guzar gayā koī bojh dil pe liye hue

mujhe raas aa.ī na rut koī na vo hijr na visāl

thā diloñ ye bhī ik imtihāñ ki takallufāt the darmiyāñ

mujhe Dar thā us ke javāb use fikr mere savāl

jo chale to rāh-e-amāñ nahīñ jo ruke to manzileñ kho ga.iiñ

tirī rahguzar bhī ajiib hai tirī manzileñ bhī kamāl

mire zaḳhm saare mahak uThe jo chalī havā-e-nihāl-e-ġham

koī dasht-e-jāñ se guzar gayā uThī gard tere ḳhayāl

vo mujhe milā bhī to is tarah mileñ jaise shams-o-qamar 'ziyā'

thā jo lamha is ke uruuj vo ghaḌī thī mere zavāl

Top Urdushayar.com