rañg  par  jab  vo  bazm-e-nāz  aa.ī
ham  uThe  le  ke  dard-e-tanhā.ī
kis  se  pūchheñ  tilism-e-hastī  meñ
ham  tamāshā  haiñ  yā  tamāshā.ī
thā  ġham-e-ishq  jāñ-gudāz  magar
kuchh  usī  ġham  ne  kī  masīhā.ī
haa.e  kis  sādgī  se  sīkhā  hai
husn  ne  ehtimām-e-rānā.ī
āḳhir-e-shab  zabān-e-sham.a  pe  hai
dāstān-e-hujūm-e-tanhā.ī
chand  ḳhūnīñ-jigar  hue  rusvā
muskurāyā  chaman  bahār  aa.ī
chup  rahe  ham  to  ḳhuuñ  huā  dil  kā
baat  kī  hai  to  aañkh  bhar  aa.ī
haa.e  is  daur-e-aql-o-dānish  ne
kar  diyā  aadmī  ko  saudā.ī
ham  chaman  meñ  na  the  to  ḳhud  hī  'ravish'
bū-e-gul  dasht  tak  chalī  aa.ī