kyā  sitam  kar  ga.ī  ai  dost  tirī  chashm-e-karam
jaise  tere  nahīñ  duniyā  ke  gunahgār  haiñ  ham
koī  aalam  ho  bahar-hāl  guzar  jaatā  hai
ham  na  sargashta-e-rāhat  haiñ  na  āshufta-e-ġham
tirī  zulfoñ  kī  ghanī  chhāñv  bahut  duur  sahī
jāda-paimā  haiñ  havādis  kī  kaḌī  dhuup  meñ  ham
nik.hat-e-gul  se  kuchh  is  tarah  mulāqāt  huī
yaad  aayā  tirī  begāna-vashī  kā  aalam
ham  haiñ  tūfān-e-malāmat  hai  galī  hai  terī
husn-e-taqdīr  se  hote  haiñ  ye  hālāt  baham
le  gayā  ishq  kisī  shāhid-e-nādīda  tak
muddatoñ  zauq-e-parastish  ne  tarāshe  the  sanam
ham  ne  har  uqda-e-dushvār  kā  muñh  chuum  liyā
kitne  dilkash  haiñ  tirī  zulf-e-girah-gīr  ke  ḳham
kū-e-qātil  hī  sahī  manzil-e-rāhat  na  sahī
thak  ke  baiThe  haiñ  ki  aate  haiñ  bahut  duur  se  ham
kū-e-jānāñ  meñ  kahīñ  aaj  to  ham  bhī  the  'ravish'
shukr  hai  ham  ko  na  pahchān  sake  dair  o  haram