iltifāt-āshnā  hijāb  tirā
lutf-e-pinhāñ  hai  ijtināb  tirā
kyā  milā  hai  ma.āl-e-bedārī
merī  āñkheñ  haiñ  aur  ḳhvāb  tirā
dil  se  kartā  huuñ  laakh  laakh  savāl
yaad  aatā  hai  jab  javāb  tirā
koī  dekhe  tujhe  to  kyā  dekhe
ki  tirā  husn  hai  naqāb  tirā
haa.e  un  laġhzishoñ  kī  ra.anā.ī
DhūñDhtā  hai  jinheñ  itaab  tirā
ishrat-e-dil  thī  dil  kī  barbādī
TuuT  kar  ban  gayā  rabāb  tirā
kis  se  pūchheñ  ki  ab  kahāñ  hai  'ravish'
haa.e  vo  ḳhānumāñ-ḳharāb  tirā