daur-e-sabūhī  shola-e-mīnā  raqsāñ  chhāñv  meñ  tāroñ  kī
pīr-e-muġhāñ  ne  jaam  uThāyā  iid  huī  mai-ḳhvāroñ  kī
kitne  hī  dar  khul  jā.eñge  josh-e-junūñ  ko  baḌhne  do
band  rahegā  kyā  dar-e-zindāñ  ḳhair  nahīñ  dīvāroñ  kī
kāfir-e-ishq  samajh  kar  ham  ko  kitne  tūfāñ  uThte  haiñ
dil  kī  baat  ko  kis  se  kah  deñ  bastī  hai  dīñ-dāroñ  kī
pās-e-adab  se  ik  ik  kāñTā  ham  ne  chunā  hai  palkoñ  se
āḳhir  kuchh  tāzīm  thī  lāzim  dasht-e-vafā  ke  ḳhāroñ  kī
kitne  dukh  ke  din  biite  haiñ  is  kā  bhī  thā  hosh  kahāñ
apne  haal  ko  kuchh  samjhā  huuñ  sūrat  se  ġham-ḳhvāroñ  kī
zulf-e-pareshāñ  raaz  kī  juuyā  bād-e-sabā  yaksar  ġhammāz
baat  tirī  ḳhalvat  tak  pahuñchī  ham  vahshī  āvāroñ  kī
mausam-e-gul  kī  rānā.ī  ne  dasht  meñ  Dere  Daale  haiñ
tum  bhī  'ravish'  ab  ghar  se  niklo  rut  aa.ī  hai  bahāroñ  kī