Ravish Siddiqi

tujh pe khul jae ki kya mehr ko shabnam se mila

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
tujh pe khul jaa.e ki kyā mehr ko shabnam se milā
aañkh ai husn-e-jahāñ-tāb zarā ham se milā
vo masarrat jise kahte haiñ nashāt-e-abadī
us masarrat kā ḳhazāna bhī tire dam se milā
vahdat-e-sūrat-o-ma.anī ko samajh ai vaa.iz
husn-e-yazdāñ kā tasavvur ruḳh-e-ādam se milā
ahl-e-vahshat se ye taz.īn-e-jahāñ kyā hotī
ye salīqa bhī tire gesū-e-barham se milā
ham-nashīñ soz-e-ġham-e-dil kahīñ mahdūd nahīñ
kabhī sholoñ se milā hai kabhī shabnam se milā
laḌkhaḌānā bhī hai takmīl-e-safar kī tamhīd
ham ko manzil kā nishāñ laġhzish-e-paiham se milā
vaz.a-dārī ise kahiye ki haram meñ bhī 'ravish'
ḳhud hī baḌh kar kisī ġhārat-gar-e-ālam se milā
Top Urdushayar.com