zindagī  jab  se  shanāsā-e-muhāllāt  huī
sach  to  ye  hai  ki  ḳhud  apne  se  mulāqāt  huī
parda-e-ġham  jise  samjhā  thā  vahī  ḳhāmoshī
kal  tirī  bazm  meñ  mauzū-e-hakāyāt  huī
ham  ko  ai  qāfila-e-shauq  ye  kyā  yaad  rahe
ki  huī  sub.h  kahāñ  aur  kahāñ  raat  huī
tirī  duz-dīda-nigāhī  kā  ḳhayāl  aate  hī
dil  meñ  ik  raushni-e-kashf-e-hijābāt  huī
is  qadar  sahl  kahāñ  marhala-e-soz-o-gudāz
raat  bhar  sham.a  kā  jalnā  bhī  koī  baat  huī
pās-e-ādāb-e-mohabbat  ki  ba-īñ  raaz  o  niyāz
muddatoñ  bād-e-sabā  se  na  koī  baat  huī
jis  kī  mahfil  ko  'ravish'  jannat-e-fardā  kahiye
kal  usī  ḳhusrav-e-ḳhūbāñ  se  mulāqāt  huī