vo  barq-e-nāz  gurezāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
magar  sharīk-e-rag-e-jāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
hazār  dil  hai  tirā  mashriq-e-mah-o-ḳhurshīd
ġhubār-e-manzil-e-jānāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
bahār-e-gul-kada-e-nāz  dil-kushā  hai  magar
nasīm-e-shauq  ḳhirāmāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
hai  ḳhalvat-e-dil-e-vīrāñ  hī  manzil-e-mahbūb
ye  ḳhalvat-e-dil-e-vīrāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
har  ek  saañs  ho  ātish-kada  to  kyā  hāsil
gudāz  shola-e-pinhāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
baġhair  ishq  hai  rūdād-e-zindagī  tārīk
ye  lafz  zīnat-e-unvāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
bahut  buland  hai  dil  kā  maqām-e-ḳhuddārī
magar  shikast  kā  imkāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
sukūn-e-shauq  ho  yā  iztirāb-e-shauq  'ravish'
agar  ba-manzila-e-jāñ  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ