Ravish Siddiqi

ishq ki sharah-e-muKHtasar ke liye

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
ishq kī sharah-e-muḳhtasar ke liye
sil ga.e hoñT umr-bhar ke liye
zindagī dard-e-dil se katrā kar
dard-e-sar ban ga.ī bashar ke liye
dil azal se hai sho.ala pairāhan
sham.a jaltī hai rāt-bhar ke liye
us ne dil toḌ kar kiyā irshād
ab tasallī hai umr-bhar ke liye
abr-e-rahmat hai ishq kā dāman
ātish-e-razm ḳhair-o-shar ke liye
ham bhī kū-e-butāñ ko jaate haiñ
ai sabā qasd hai kidhar ke liye
vo tajallī hai muntazir ab tak
kisī shā.ista-e-nazar ke liye
ḳhūn-e-dil sarf kar rahā huuñ 'ravish'
ḳhuub se naqsh-e-ḳhūb-tar ke liye
Top Urdushayar.com