ishq  kī  sharah-e-muḳhtasar  ke  liye
sil  ga.e  hoñT  umr-bhar  ke  liye
zindagī  dard-e-dil  se  katrā  kar
dard-e-sar  ban  ga.ī  bashar  ke  liye
dil  azal  se  hai  sho.ala  pairāhan
sham.a  jaltī  hai  rāt-bhar  ke  liye
us  ne  dil  toḌ  kar  kiyā  irshād
ab  tasallī  hai  umr-bhar  ke  liye
abr-e-rahmat  hai  ishq  kā  dāman
ātish-e-razm  ḳhair-o-shar  ke  liye
ham  bhī  kū-e-butāñ  ko  jaate  haiñ
ai  sabā  qasd  hai  kidhar  ke  liye
vo  tajallī  hai  muntazir  ab  tak
kisī  shā.ista-e-nazar  ke  liye
ḳhūn-e-dil  sarf  kar  rahā  huuñ  'ravish'
ḳhuub  se  naqsh-e-ḳhūb-tar  ke  liye