Zia Faruqi

rahe dariya-e-suKHan yunhi rawan mere baad

Zia Faruqi

1947

rahe dariyā-e-suḳhan yūñhī ravāñ mere ba.ad

bāñjh ho jaa.e na ġhālib zabāñ mere ba.ad

kaun degā unheñ ḳhushbū jahāñ mere ba.ad

kis se lipTeñge ye nāzuk-badnāñ mere ba.ad

kū-ba-kū phirtī hai ab chāroñ-taraf āvāra

bū-e-gul ko na milī jā-e-amāñ mere ba.ad

laakh maiñ nañg-e-suḳhan huuñ pa yaqīñ hai mujh ko

log DhūñDeñge mirā tarz-e-bayāñ mere ba.ad

chhoḌ kar jā.ūñgā maiñ ghar meñ ujāle subūt

kaam aa.egā ye tāqoñ dhuāñ mere ba.ad

yaar sab chal diye bāzār-e-havas jānib

ho ga.ī rāh-e-junūñ kam-guzarāñ mere ba.ad

maiñ ki ḳhātam bhī huuñ ḳhud apnī tabī.at 'ziyā'

qat huā silsila-e-āh-o-fuġhāñ mere ba.ad

Top Urdushayar.com