Mahmood Shaam

ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan

Mahmood Shaam

1940
ghir gayā huuñ be-tarah maiñ ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ
jism ke reze uḌātī āñdhiyoñ ke darmiyāñ
kitne chehre kitnī shakleñ phir bhī tanhā.ī vahī
kaun le aayā mujhe in ā.īnoñ ke darmiyāñ
ham kahāñ yaaro kahāñ vo mauja-e-bād-e-nasīm
vaqt kī pahnā.iyāñ haa.il diloñ ke darmiyāñ
dil pe guzrī jo vo guzrī shahr kyuuñ vīrāñ hue
ek dahshat sī hai phailī rāstoñ ke darmiyāñ
mudda.ā pinhāñ pas-e-alfāz hai jo paḌh sako
kuchh nahīñ pāoge tum in surḳhiyoñ ke darmiyāñ
jaise ḳhushbū shahr meñ sahrā meñ jaise chāñdnī
yuuñ bikhar jaatā huuñ meñ tanhā.iyoñ ke darmiyāñ
jis kī ḳhātir sher likhte ho kabhī paḌhtī bhī hai
kab talak uljhe rahoge qāfiyoñ ke darmiyāñ
'shām'-jī bikhre kabhī is dil ke āñgan meñ mahak
zindagī guzregī kab tak āhaToñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com