aune-paune  ġhazleñ  bechīñ  nazmoñ  kā  bevpār  kiyā
dekho  ham  ne  peT  kī  ḳhātir  kyā  kyā  kārobār  kiyā
is  bastī  ke  log  to  sab  the  chaltī  phirtī  dīvāreñ
ham  ne  rañg  luTātī  shab  se  ujle  dinoñ  se  pyaar  kiyā
zehn  se  ik  ik  kar  ke  terī  saarī  bāteñ  utar  ga.iiñ
kabhī  kabhī  to  vaqt  ne  ham  ko  aisā  bhī  nā-chār  kiyā
apnā-āp  bhī  khoyā  ham  ne  logoñ  se  bhī  chhūTā  saath
ik  saa.e  kī  dhun  ne  ham  ko  kaise  kaise  ḳhaar  kiyā
saare  ahd  kā  bojh  thā  sar  par  dil  meñ  saare  jahāñ  kā  ġham
vaqt  kā  jaltā  ubaltā  sahrā  ham  ne  jis  dam  paar  kiyā
jāgtī  galiyoñ  ūñche  gharoñ  meñ  zard  añdherā  nāchtā  hai
jis  lamhe  se  ham  Darte  the  us  ne  āḳhir  vaar  kiyā
shaam  kī  ThanDī  aahoñ  meñ  bhī  terī  ḳhushbū  shāmil  thī
raat  ga.e  tak  peḌoñ  ne  bhī  terā  zikr-azkār  kiyā