Rahi Fidai

samar se puchh lo zauq-e-tarash kaisa hai

Rahi Fidai

1949
samar se pūchh lo zauq-e-tarāsh kaisā hai
vo dil jo tum ne kiyā qaash qaash kaisā hai
koī to saql girā hogā bahr-e-sākit meñ
vagarna phir ye dilī irti.āsh kaisā hai
na ta.aziyat kī zarūrat na fikr-e-ġhamzadagāñ
hanūt jis ne bhī kī apnī laash kaisā hai
nuqūsh-e-maslak-o-minhāj hī batā.eñge
vo ḳhush-mizāj hai yā bad-qimāsh kaisā hai
havās-bhāḳhta jis se haiñ āsmān-o-zamīñ
batā vo sāneha-e-dil-ḳharāsh kaisā hai
vo jī rahā thā duāoñ ke saḳht narġhe meñ
hisār-e-zāt huā paash paash kaisā hai
vajūd us kā thā ā.īna-e-tilismātī
vo aks jis ne kiyā raaz faash kaisā hai
qimār-ḳhāna-e-dil meñ ḳhayāl-e-rañgīñ se
jo shaḳhs kheltā rahtā thā taash kaisā hai
kahīñ to vo bhī tumhārī tarah na ho 'rāhī'
batāo jis kī hai tum ko talāsh kaisā hai
Top Urdushayar.com