mutāle.a  kī  havas  hai  kitāb  de  jaao
hamāre  ahd  ko  sāleh  nisāb  de  jaao
shahpar-e-ilm  kī  jholī  kamāl  se  ḳhālī
ḳhudā  ke  vāste  koī  ḳhitāb  de  jaao
kabhī  to  hurmat-e-sairābi-e-nazar  khul  jaa.e
samundaroñ  ko  tilism-e-sarāab  de  jaao
haqīqatoñ  ko  tamāshā  nahīñ  banā.ūñgā
munāfiqat  kī  havā  hai  naqāb  de  jaao
tumhārī  āḳhirī  ummīd  ban  ke  lauTūñgā
vidā  kī  ghaḌiyoñ  kā  hisāb  de  jaao
qadīm  raushniyoñ  se  unheñ  shikāyat  hai
to  shapparoñ  ko  nayā  āftāb  de  jaao
koī  to  mashġhala-e-nā-murād  jaarī  ho
zabāñ  ko  badriqa-e-inqilāb  de  jaao
isī  meñ  ḳhanda-labī  shān-e-be-niyāzī  hai
har  ek  tiir  kā  sākit  javāb  de  jaao
safar-e-nasīb  hai  'rāhī'  misāl-e-bād-e-ravāñ
jahāt-e-shash  kī  zamām  o  rikāb  de  jaao