koī  nashsha  na  koī  ḳhvāb  ḳharīd
tīra-baḳhtī  hai  māhtāb  ḳharīd
hai  muzayyan  dukān-e-lā-adrī
sau  savāloñ  kā  ik  javāb  ḳharīd
kīsa-e-tammā  meñ  chhupā  dīnār
phir  bilā  ḳhauf  ehtisāb  ḳharīd
baḌī  mabsūt  hai  kitāb-e-ḳhalq
koī  achchhā  sā  intiḳhāb  ḳharīd
tujh  meñ  hai  bahr-e-be-karāñ  kā  vajūd
tujh  se  kis  ne  kahā  habāb  ḳharīd
totā-chashmī  ke  aib  se  hai  paak
shakl  bad  hī  sahī  ġhurāb  ḳharīd
tab  kahīñ  jā  ke  hogā  tū  'ġhālib'
asadullāh  kā  ḳhitāb  ḳharīd
madah-ḳhvāñ  hogā  har  varaq  'rāhī'
sirf  ik  lafz-e-intisāb  ḳharīd