Sabir Zafar

nazar se dur hain dil se juda na hum hain na tum

Sabir Zafar

1949
nazar se duur haiñ dil se judā na ham haiñ na tum
gila kareñ bhī to kyā be-vafā na ham haiñ na tum
ham ik varaq pe to haiñ do hurūf kī sūrat
magar nasīb kā likkhā huā na ham haiñ na tum
hamārī zindagī parchhā.iyoñ kī ḳhāmoshī
qarīb laatī hai jo vo sadā na ham haiñ na tum
ham ek saath haiñ jab se ye rog haiñ tab se
kisī bhī rog kī lekin davā na ham haiñ na tum
hamāre jism haiñ paanī pe jaise tasvīreñ
bikharte rañgoñ ke dukh kā sila na ham haiñ na tum
duhā.iyāñ jo nahīñ deñ 'zafar' sitam sah kar
samajh rahī hai ye duniyā ḳhafā na ham haiñ na tum
Top Urdushayar.com