nazar  se  duur  haiñ  dil  se  judā  na  ham  haiñ  na  tum
gila  kareñ  bhī  to  kyā  be-vafā  na  ham  haiñ  na  tum
ham  ik  varaq  pe  to  haiñ  do  hurūf  kī  sūrat
magar  nasīb  kā  likkhā  huā  na  ham  haiñ  na  tum
hamārī  zindagī  parchhā.iyoñ  kī  ḳhāmoshī
qarīb  laatī  hai  jo  vo  sadā  na  ham  haiñ  na  tum
ham  ek  saath  haiñ  jab  se  ye  rog  haiñ  tab  se
kisī  bhī  rog  kī  lekin  davā  na  ham  haiñ  na  tum
hamāre  jism  haiñ  paanī  pe  jaise  tasvīreñ
bikharte  rañgoñ  ke  dukh  kā  sila  na  ham  haiñ  na  tum
duhā.iyāñ  jo  nahīñ  deñ  'zafar'  sitam  sah  kar
samajh  rahī  hai  ye  duniyā  ḳhafā  na  ham  haiñ  na  tum