suno  to  āriza-e-iḳhtilāj  rahne  do
sukūñ  ke  Thiik  nahīñ  haiñ  mizāj  rahne  do
ba-hukm-e-shāh  taqārīb-e-amn  kal  hoñge
sharar-gazīda  hai  māhaul  aaj  rahne  do
tum  apnī  nabz  kī  raftār  par  nazar  rakkho
ḳhilāf-e-gardish-e-nau-ehtijāj  rahne  do
kisī  ko  saaya  kisī  ko  gul-o-samar  degā
harā  bharā  hai  daraḳht-e-rivāj  rahne  do
zamīn-e-fikr-o-hunar  bāñjh  hai  abhī  'rāhī'
husūl-e-dād  vasūl-e-ḳhirāj  rahne  do