ehsās-e-zimmedārī  bedār  ho  rahā  hai
har  shaḳhs  apne  qad  kā  mīnār  ho  rahā  hai
āvāz-e-haq  kahīñ  ab  rū-posh  ho  na  jaa.e
harf-e-ġhalat  barhana  talvār  ho  rahā  hai
kis  naqsh  kī  jilā  hai  anfās-e-kahkashāñ  meñ
vo  kaun  sāya-sāya  dīvār  ho  rahā  hai
minnat-gah-e-siyāhī  ailān-e-ḳhair-ḳhvāhī
kam-zarf  valvaloñ  kā  iz.hār  ho  rahā  hai
hairat-zada  hai  'rāhī'  dariyā  se  ehtijājan
māsūm  qatra-qatra  ġhaddār  ho  rahā  hai