ham  na  hote  kāḳh-e-musht-e-ḳhāk  hotā  ġhāliban
be-samā.at  naġhma-e-laulāk  hotā  ġhāliban
aap  ne  achchhā  kiyā  tathīr-e-ḳhvāhish  hī  na  kī
varna  zamzam  chashma-e-nāpāk  hotā  ġhāliban
ātish-e-karb-o-balā  ne  hosh  ke  nāḳhun  liye
josh  meñ  sail-e-ḳhas-o-ḳhāshāk  hotā  ġhāliban
ḳhud  hī  bātil-sāz  ne  hañgāma-ārā.ī  na  kī
ḳhush-libās-e-haq  bhī  dāman-chāk  hotā  ġhāliban
hādsoñ  ke  ḳhauf  se  ehsās  kī  had  meñ  na  thā
varna  nafs-e-mutma.in  saffāk  hotā  ġhāliban
soch  kar  hī  to  lagāyā  hājib-e-shams-o-qamar
lā-makāñ  par  qabza-e-idrāk  hotā  ġhāliban
sho.alagī  ne  is  ko  'rāhī'  sad-shikasta  kar  diyā
aa.ina  dil  sūrat-e-zahhāk  hotā  ġhāliban