maiñ  tum  ko  pūjtā  rahā  jab  tak  ḳhudī  meñ  thā
apnā  milā  surāġh  mujhe  be-ḳhudī  ke  ba.ad
kyā  rasm-e-ehtiyāt  bhī  duniyā  se  uTh  ga.ī
ye  sochnā  paḌā  mujhe  terī  hañsī  ke  ba.ad
ghabrā  ke  mar  na  jā.iye  marne  se  fā.eda
ik  aur  zindagī  bhī  hai  is  zindagī  ke  ba.ad
aa.e  haiñ  is  jahāñ  meñ  to  jaanā  zarūr  hai
koī  kisī  se  pahle  to  koī  kisī  ke  ba.ad
ai  abr-e-nau-bahār  Thahar  pī  rahā  huuñ  maiñ
jaanā  baras  ke  ḳhuub  mirī  mai-kashī  ke  ba.ad
marte  the  jis  pe  ham  vo  faqat  husn  hī  na  thā
ye  raaz  ham  pe  aaj  khulā  āshiqī  ke  ba.ad
ai  mausam-e-bahār  Thahar  aa  rahā  huuñ  maiñ
dāmān-e-chāk-chāk  kī  baḳhiya-garī  ke  ba.ad