Sameena Syed

mohabbat ka shikasta-pan nazar kya aae bahar se

Sameena Syed

mohabbat shikasta-pan nazar kyā aa.e bāhar se

ye dīmak to badan ko chāTtī rahtī hai andar se

tumhāre hijr ye dard-e-sar to mustaqil Thahrā

mujhe lagtā hai jaañ le ke ye utregā mere sar se

mirī tartīb meñ sahrā-mizājī kār-farmā hai

bujhegī pyaas kyā merī bhalā ashkoñ ke sāgar se

terī dahlīz pe maiñ muntazir apnī na rah jā.ūñ

yahī sab sochtī huuñ lauT aatī huuñ tire dar se

mirī ḳhāmoshiyoñ ko chīḳh banñe bahut Dar hai

koī āvāz uThne lag paḌī hai mere andar se

'samīna' mas.ala ye hai mirī qāmat se kamtar hai

hamesha pyaas kar lauT aatī huuñ samundar se

Top Urdushayar.com