Bekal Utsahi

tanz ki tegh mujhi par sabhi khinche honge

Bekal Utsahi

Balrampur, Uttar pradesh, India

1928-2016
tanz kī teġh mujhī par sabhī khīñche hoñge
aap jab aur mire aur nagīche hoñge
aa.ina pūchhegā jab raat kahāñ the sāhab
apnī bāñhoñ meñ vo apne hī ko bhīñche hoñge
jis taraf chāhiyegā aap chale jā.iyegā
sāmne chāñd ke ham āñkhoñ ko mīche hoñge
aaj phir guzreñge qātil kī galī se ham log
aaj phir band makānoñ ke darīche hoñge
jis kī har shāḳh pe rādhā.eñ machaltī hoñgī
dekhnā kirshn usī peḌ ke nīche hoñge
ik makāñ aur bhī hai shīsh-mahal ke logo
jis meñ dahlīz na āñgan na darīche hoñge
terā dam hai to bahāroñ ko sukūñ hai 'bekal'
phir tire ba.ad kahāñ baaġh baġhīche hoñge
Top Urdushayar.com