udaas  kāġhzī  mausam  meñ  rañg  o  bū  rakh  de
har  ek  phuul  ke  lab  par  mirā  lahū  rakh  de
zabān-e-gul  se  chaTāneñ  tarāshne  vaale
nigār  o  naqsh  meñ  āsā.ish-e-numū  rakh  de
sunā  hai  ahl-e-ḳhirad  phir  chaman  sajā.enge
junūñ  bhī  jeb  o  garebāñ  pa-e-rafū  rakh  de
shafaq  hai  phuul  hai  dīpak  hai  chāñd  bhī  hai  magar
unhīñ  ke  saath  kahīñ  sāġhar  o  subū  rakh  de
chalā  hai  jānib-e-mai-ḳhāna  aaj  phir  vaa.iz
kahīñ  na  jaam  pe  lab  apne  be-vazū  rakh  de
tamām  shahr  ko  apnī  taraf  jhukā  lūñgā
ġham-e-habīb  mire  sar  pe  haath  tū  rakh  de
girāñ  lage  hai  jo  ehsān  dast-e-qātil  kā
uTh  aur  teġh  ke  lab  par  rag-e-gulū  rakh  de
ḳhudā  kare  mirā  munsif  sazā  sunāne  par
mirā  hī  sar  mire  qātil  ke  rū-ba-rū  rakh  de
samundaroñ  ne  bulāyā  hai  tujh  ko  ai  'bekal'
tū  apnī  pyaas  kī  sahrā  meñ  aabrū  rakh  de