Shad Lakhnavi

KHuda hi us chup ki dad dega ki turbaten raunde Dalte hain

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
ḳhudā hī us chup kī daad degā ki turbateñ rauñde Dālte haiñ
ajal ke maare hue kisī se na bolte haiñ na chālte haiñ
zalīl hote haiñ aib haiñ ḳhud jo aib us meñ nikālte haiñ
unhīñ ke uupar hī ḳhaak paḌtī jo chāñd par ḳhaak Dālte haiñ
talavvun-e-aish-o-ġham se bāham zamīn ye nañg-e-āsmāñ hai
ki muñh se ham ḳhuun Dālte haiñ vo rañg-e-nau-roz uchhālte haiñ
na ghar ke mānind maah har shab maze uḌāte haiñ ham-damoñ se
qarār fardā kā roz kar ke hameñ qayāmat pe Tālte haiñ
piye hue haiñ sharāb-e-sāqī chaḌhī hai mastī-e-pāk-bāzī
vo bāda-kash meñ mudām-e-sāqī jo duḳht-e-raz ko khañgālte haiñ
mudām barham mizha ke aare saroñ pe chalte haiñ āshiqoñ ke
banā ke gesu-e-mushk-bū ko vo maañg jis dam nikālte haiñ
jalā rahe sham-e-bazm sā.īñ uThā ke pahlū se apne ham ko
raqīb ko misl-e-dil baġhal meñ miyān-e-mahfil biThālte haiñ
kisī ko bātoñ meñ haiñ lagāte kisī ko fiqroñ meñ haiñ uḌāte
kalīm se ham-kalām ho kar masīh ko dam meñ Tālte haiñ
bisāt-e-ulfat hai vo nirālī jahāñ meñ jāñ-bāḳhta khilāḌī
juā bhī ye but jo khelte haiñ to dil kī kauḌī uchhālte haiñ
junūñ kī bad-nāmiyāñ haiñ jitnī ham aap ai 'shād' uThā rahe haiñ
na thoñpne kohkan ke sar haiñ na qais-o-vāmiq pe Dhālte haiñ
Top Urdushayar.com