Shad Lakhnavi

taswir meri hai aks tera tu aur nahin main aur nahin

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899

tasvīr mirī hai aks tirā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

kar ġhaur apne dil meñ zarā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

tasbīh ne jis dam faḳhr kiyā dānoñ meñ vahīñ Dore ko dikhā

zunnār ne is rishte se kahā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

is baaġh meñ ai barg-e-hinā hañsne pe mire zaḳhmoñ ke na

rone meñ lahū ḳhandāñ hoñ kyā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

har ek javāhir besh-bahā chamkā to ye patthar kahne lagā

jo sañg tirā vo sañg mirā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

ai 'shād' mirā putlā jo banā mil ātish-o-ḳhāk-o-āb-o-havā

har chaar anāsir ne ye kahā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

Top Urdushayar.com