Akhtar Amaan

ye dil kahta hai koi aa raha hai

Akhtar Amaan

ye dil kahtā hai koī aa rahā hai
nazar kahtī hai vo bahlā rahā hai
har ik ke dil pe kartā hai hukūmat
vo apnī saltanat phailā rahā hai
kisī kī dastaras meñ hai magar vo
kabhī aa kar hameñ miltā rahā hai
kabhī detā hai dil ko zaḳhm gahre
kabhī lagtā hai vo sahlā rahā hai
ḳhabar ik us ke aane kī sunī thī
diyā ghar raat bhar jaltā rahā hai
kaheñge log mere baad saare
vo jaisā bhī rahā achchhā rahā hai
kahāñ par aa ke 'aḳhtar' ruk ga.e ho
chalo aao zamāna jā rahā hai
Top Urdushayar.com