Shad Lakhnavi

abr-e-dida ka mere ho jo na ojhaD pani

Shad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1805-1899
abr-e-dīda kā mire ho jo na ojhaḌ paanī
phir kahīñ jhiḌkī lagā.e na kahīñ jhaḌ paanī
mere rone se dil-e-sañg jo aab aab na ho
kohsāroñ se gire phir na dhaḌā-dhaḌ paanī
ye añdherā ye shab-e-tār kahāñ jāoge
din haiñ barsāt ke galiyoñ meñ hai kīchaḌ paanī
barq-andāz na kis tarah karūñ nāla-e-garm
jaan betāb hai bijlī kī tarah taḌ paanī
rashk-e-la.al-e-lab-e-lālīñ se jigar-ḳhūñ yāqūt
sharm-e-dandāñ se hai motī kī har ik laḌ paanī
tīr-bārāñ mizha-e-yār mujhe kartī hai
maiñ samajhtā huuñ barastā hai jhaḌā-jhaḌ paanī
maiñ jo ai 'shād' na ro.uuñ sifat abr-e-bahār
paa.eñ ik qatra kahīñ jhiil na jhābaḌ paanī
Top Urdushayar.com