Saleem Raza Rewa

hans de to khile kaliyan gulshan mein bahaar aae

Saleem Raza Rewa

Rewa, Madhya Pradesh, India

1975
hañs de to khile kaliyāñ gulshan meñ bahār aa.e
vo zulf jo lahrā.eñ mausam meñ nikhār aa.e
mil jaa.e koī sāthī har ġham ko sunā Dāleñ
bechain mirā dil hai pal bhar ko qarār aa.e
mad.hosh huā dil kyuuñ bechain hai kyuuñ āñkheñ
huuñ duur mai-ḳhāne se phir kyuuñ ai ḳhumār aa.e
khil jā.eñgī ye kaliyāñ mahbūb ke aamad se
jis raah se vo guzre gulshan meñ bahār aa.e
jin jin pe ināyat hai jin jin se mohabbat hai
un chāhne vaalo meñ merā bhī shumār aa.e
phūloñ ko sajāyā hai palkoñ ko bichhāyā hai
ai bād-e-sabā kah de ab jaane bahār aa.e
bulbul meñ chahak tum se phūloñ meñ mahak tum se
ruḳhsār pe kaliyoñ ke tum se hī nikhār aa.e
Top Urdushayar.com