Ashique Akbarabadi

hamari us se jo surat hui safai ki

Ashique Akbarabadi

1848-1918
hamārī us se jo sūrat huī safā.ī kī
hujūm-e-ġham ne adū par baḌī chaḌhā.ī kī
faqīr-e-mast tire hāl-e-vasl kyā jāneñ
ki oḌhe baiThe haiñ kamlī shab-e-judā.ī kī
gadā-e-kūcha-e-jānāñ huuñ martaba hai baḌā
ki mere naam hai jāgīr be-navā.ī kī
hamīñ to ālam-e-hastī meñ ik nikamme haiñ
tumhīñ meñ aa ga.iiñ sab ḳhūbiyāñ ḳhudā.ī kī
mile na kyuuñ tumheñ shāhoñ kā martaba 'āshiq'
bahut dinoñ dar-e-ḳhvāja pe hai gadā.ī kī
Top Urdushayar.com