Saleem Raza Rewa

apni zulfon ko dho rahi hai shab

Saleem Raza Rewa

Rewa, Madhya Pradesh, India

1975
apnī zulfoñ ko dho rahī hai shab
aur ḳhushbū nicho rahī hai shab
mere ḳhvāboñ kī oḌh kar chādar
mere bistar pe so rahī hai shab
ab añdheroñ se jañg kī ḳhātir
kuchh charāġhoñ ko bo rahī hai shab
sub.h-e-nau ke qarīb aate hī
apnā asitiv kho rahī hai shab
din ke sadmoñ ko sah rahā hai din
raat kā bojh Dho rahī hai shab
Top Urdushayar.com