Ali Imran

ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujhko

Ali Imran

Jhang, Punjab, Pakistan

ab koī ġham hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
aisā mausam hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
zaḳhm meñ dard nahīñ hai jo uThā.e Tīseñ
aañkh meñ nam hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
chāñd nārāz nahīñ hai na sitāre haiñ ḳhafā
raat barham hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
mujh meñ sab kuchh hī mukammal hai to kis baat kā dukh
kuchh kahīñ kam hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
tere hoñToñ se mire zaḳhm chahak uTTheñge
ye vo marham hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
ai mire ḳhvāb tū TuuTe maiñ nahīñ TūTūñgā
tujh meñ vo dam hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
tere jaane pe bhī afsurda nahīñ hai koī
terā mātam hī nahīñ hai jo rulā.e mujh ko
Top Urdushayar.com