guzre  va.ade  ko  vo  ḳhud  yaad  dilā  dete  haiñ
dil  kī  soī  huī  hasrat  ko  jagā  dete  haiñ
nau-giraftār-e-qafas  haiñ  nahīñ  karte  fariyād
jaan  ko  terī  ye  sayyād  duā  dete  haiñ
tālib-e-jalva-e-dīdar  samajh  kar  mujh  ko
ik  jhalak  sī  ruḳh-e-raushan  kī  dikhā  dete  haiñ
zab.h  karte  haiñ  taḌapne  nahīñ  dete  mujh  ko
tah-e-zānū  mirī  gardan  ko  dabā  dete  haiñ
apne  mauqe  pe  har  ik  baat  bhalī  hotī  hai
shab-e-furqat  meñ  ye  sadme  bhī  mazā  dete  haiñ
ġhair  ke  kahne  se  dar-gor  kahā  karte  haiñ
jīte-jī  vo  mujhe  paiġhām-e-qazā  dete  haiñ
maiñ  vo  qaidī  huuñ  ki  sone  nahīñ  dete  mujh  ko
aañkh  lagtī  hai  to  zanjīr  hilā  dete  haiñ
le  liyā  bosa-e-ruḳhsār  to  kyā  jurm  kiyā
pyaar  kī  baat  pe  nāhaq  vo  sazā  dete  haiñ
sham-e-mahfil  huuñ  na  āshiq  na  maiñ  bū-e-gul  huuñ
mah-jabīñ  kyuuñ  mujhe  āñchal  kī  havā  dete  haiñ
un  ke  qabze  meñ  hai  kaunain  kī  shāhī  'āshiq'
shaah  vo  de  nahīñ  sakte  jo  gadā  dete  haiñ